ahl-e-duniya ko agar mujhse shikayat hai to hai
ahl-e-duniyā ko agar mujh se shikāyat hai to hai
haq-parastī is zamāne meñ baġhāvat hai to hai
mat burā kahnā use ai hasrat-e-dīdār-e-yār
der se aana purānī us kī aadat hai to hai
gaañv meñ bhaa.ī se bhaa.ī bhī kahāñ mahfūz thā
kyā huā pardes meñ har samt dahshat hai to hai
maañ ke āñchal se hasīñ hargiz nahīñ ai āsmāñ
tū zamāne kī nazar meñ ḳhūbsūrat hai to hai
kar rahā hai bāhamī millat kī bāteñ phir 'zakī'
ab zamāne kī nazar meñ ye himāqat hai to hai
ahl-e-duniya ko agar mujh se shikayat hai to hai
haq-parasti is zamane mein baghawat hai to hai
mat bura kahna use ai hasrat-e-didar-e-yar
der se aana purani us ki aadat hai to hai
ganw mein bhai se bhai bhi kahan mahfuz tha
kya hua pardes mein har samt dahshat hai to hai
man ke aanchal se hasin hargiz nahin ai aasman
tu zamane ki nazar mein KHubsurat hai to hai
kar raha hai bahami millat ki baaten phir 'zaki'
ab zamane ki nazar mein ye himaqat hai to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.