ahl-e-duniya ne sikhaya mujhe hairan hona
ahl-e-duniyā ne sikhāyā mujhe hairāñ honā
kaise insāñ haiñ ki aatā nahīñ insāñ honā
kyā tirī zulf-e-siyah-tāb ko ai māya-nāz
ġham-e-ulfat se bhī aatā hai pareshāñ honā
ġhairat-e-mehr kahā un ko to hañs kar bole
kaise manzūr ho ab sham-e-shabistāñ honā
aur husn-e-ġham-e-hastī ko baḌhā detā hai
shauq-e-gesū meñ tire dil kā pareshāñ honā
na bahāroñ se ġharaz hai na ḳhizāñ se matlab
siikh le mujh se koī ḳhār-badāmāñ honā
merī dānist meñ tauhīn-e-gunahgārī hai
ai gunahgār gunāhoñ pe pashemāñ honā
qa.ar-e-dariyā meñ bhī ik sāhil-e-rāhat hai nihāñ
bhuul hai mauja-e-tūfāñ se hirāsāñ honā
ahl-e-duniya ne sikhaya mujhe hairan hona
kaise insan hain ki aata nahin insan hona
kya teri zulf-e-siyah-tab ko ai maya-naz
gham-e-ulfat se bhi aata hai pareshan hona
ghairat-e-mehr kaha un ko to hans kar bole
kaise manzur ho ab sham-e-shabistan hona
aur husn-e-gham-e-hasti ko baDha deta hai
shauq-e-gesu mein tere dil ka pareshan hona
na bahaaron se gharaz hai na KHizan se matlab
sikh le mujh se koi KHar-badaman hona
meri danist mein tauhin-e-gunahgari hai
ai gunahgar gunahon pe pasheman hona
qar-e-dariya mein bhi ek sahil-e-rahat hai nihan
bhul hai mauja-e-tufan se hirasan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.