ahl-e-duniya waqif-e-asrar-e-pinhan ho gae
ahl-e-duniyā vāqif-e-asrār-e-pinhāñ ho ga.e
dāstān-e-ġham sunā kar ham pashemāñ ho ga.e
mere aañsū un kī āñkhoñ meñ numāyāñ ho ga.e
ab pareshāñ karne vaale ḳhud pareshāñ ho ga.e
pursish-e-ġham karne vaale baḌh gayā kuchh aur ġham
chand qatre āñsuoñ ke baḌh ke tūfāñ ho ga.e
jo ḳhulūs-e-bandagī ke muntazir the aaj tak
mere sajdoñ se vo naqsh-e-pā numāyāñ ho ga.e
bāġhbāñ se kyā shikāyat us kā dāman paak hai
ab to ḳhud gulchīñ bhī gulshan ke nigahbāñ ho ga.e
ik hamārī hī nazar nākām-e-sāhil kyā rahī
jaane kitne hī safīne nazr-e-tūfān ho ga.e
'ishq kā anjām ai dil kitnā ibrat-nāk hai
merī hālat dekhne vaale pareshāñ ho ga.e
juzv-e-fitrat kab banā dard-e-mohabbat kyā ḳhabar
is qadar ham 'shauq' mahv-e-husn-e-jānāñ ho ga.e
ahl-e-duniya waqif-e-asrar-e-pinhan ho gae
dastan-e-gham suna kar hum pasheman ho gae
mere aansu un ki aankhon mein numayan ho gae
ab pareshan karne wale KHud pareshan ho gae
pursish-e-gham karne wale baDh gaya kuchh aur gham
chand qatre aansuon ke baDh ke tufan ho gae
jo KHulus-e-bandagi ke muntazir the aaj tak
mere sajdon se wo naqsh-e-pa numayan ho gae
baghban se kya shikayat us ka daman pak hai
ab to KHud gulchin bhi gulshan ke nigahban ho gae
ek hamari hi nazar nakaam-e-sahil kya rahi
jaane kitne hi safine nazr-e-tufan ho gae
'ishq ka anjam ai dil kitna ibrat-nak hai
meri haalat dekhne wale pareshan ho gae
juzw-e-fitrat kab bana dard-e-mohabbat kya KHabar
is qadar hum 'shauq' mahw-e-husn-e-jaanan ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.