ahl-e-fan ki nazar mein aaya hun
ahl-e-fan kī nazar meñ aaya huuñ
jab se shahr-e-jigar meñ aaya huuñ
qadr aa.ī hai zulmat-e-shab kī
jab hudūd-e-sahar meñ aaya huuñ
sang-bārī kā mudda.ā ye hai
maiñ tirī rahguzar meñ aaya huuñ
ai junūñ laaj merī rah jaa.e
baad muddat ke ghar meñ aaya huuñ
kashti-e-dil tirā ḳhudā-hāfiz
kuchh dinoñ se bhañvar meñ aaya huuñ
raat ko kah rahā huuñ din 'māhir'
maiñ fareb-e-nazar meñ aaya huuñ
ahl-e-fan ki nazar mein aaya hun
jab se shahr-e-jigar mein aaya hun
qadr aai hai zulmat-e-shab ki
jab hudud-e-sahar mein aaya hun
sang-bari ka muddaa ye hai
main teri rahguzar mein aaya hun
ai junun laj meri rah jae
baad muddat ke ghar mein aaya hun
kashti-e-dil tera KHuda-hafiz
kuchh dinon se bhanwar mein aaya hun
raat ko kah raha hun din 'mahir'
main fareb-e-nazar mein aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.