ahl-e-haq bhi aa gae ab unki mahfil ke qarib
ahl-e-haq bhī aa ga.e ab un kī mahfil ke qarīb
maslahat-koshī unheñ le aa.ī bātil ke qarīb
sar se ūñchā ho jahāñ paanī vahīñ hai Dūbnā
ab koī mañjdhār meñ Duube ki sāhil ke qarīb
saḳht mushkil se bhī ham pahuñche na āsānī ke paas
kitnī āsānī se pahuñche log mushkil ke qarīb
is ghaḌī sābit-qadam rahnā baḌā dushvār hai
Dagmagāte haiñ qadam jab aa ke manzil ke qarīb
sāmne maqtūl ke jo kar rahe the ehtijāj
ho ga.e gūñge sabhī jab aa.e qātil ke qarīb
un kī yādoñ se na ham ġhāfil rahe 'sābir' kabhī
vo nazar se duur rah kar bhī rahe dil ke qarīb
ahl-e-haq bhi aa gae ab un ki mahfil ke qarib
maslahat-koshi unhen le aai baatil ke qarib
sar se uncha ho jahan pani wahin hai Dubna
ab koi manjdhaar mein Dube ki sahil ke qarib
saKHt mushkil se bhi hum pahunche na aasani ke pas
kitni aasani se pahunche log mushkil ke qarib
is ghaDi sabit-qadam rahna baDa dushwar hai
Dagmagate hain qadam jab aa ke manzil ke qarib
samne maqtul ke jo kar rahe the ehtijaj
ho gae gunge sabhi jab aae qatil ke qarib
un ki yaadon se na hum ghafil rahe 'sabir' kabhi
wo nazar se dur rah kar bhi rahe dil ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.