ahl-e-hunar se nata-e-iKHlas joD ke
ahl-e-hunar se nāta-e-iḳhlās joḌ ke
dekhe haiñ khel maiñ ne bahut toḌ-phoḌ ke
sābit qadam agarche har ik imtihāñ meñ thā
ġham ne mire vajūd ko rakkhā jhiñjhoḌ ke
shāyad ki mil hī jaa.e tumheñ amn kā surāġh
jaatā huuñ apnī fikr kī parchhā.īñ chhoḌ ke
nikle the chand buuñd lahū aur kuchh nahīñ
dekhā thā maiñ ne vaqt kā dāman nichoḌ ke
azm-o-amal kī raah pe niklā nahīñ koī
rasm-e-kuhan kī āhanī dīvār toḌ ke
dekhā thā 'jāmī' sab ke saroñ par jafā kā taaj
rishtoñ kī Dor yāroñ kī bastī se joḌ ke
ahl-e-hunar se nata-e-iKHlas joD ke
dekhe hain khel main ne bahut toD-phoD ke
sabit qadam agarche har ek imtihan mein tha
gham ne mere wajud ko rakkha jhinjhoD ke
shayad ki mil hi jae tumhein amn ka suragh
jata hun apni fikr ki parchhain chhoD ke
nikle the chand bund lahu aur kuchh nahin
dekha tha main ne waqt ka daman nichoD ke
azm-o-amal ki rah pe nikla nahin koi
rasm-e-kuhan ki aahani diwar toD ke
dekha tha 'jami' sab ke saron par jafa ka taj
rishton ki Dor yaron ki basti se joD ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.