Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ahl-e-junun sa kaam kisi ne nahin kiya

Irfan Anjum

ahl-e-junun sa kaam kisi ne nahin kiya

Irfan Anjum

MORE BYIrfan Anjum

    ahl-e-junūñ kaam kisī ne nahīñ kiyā

    sahrāoñ meñ qayām kisī ne nahīñ kiyā

    ġhālib the dushmanoñ pe magar ahl-e-zarf the

    iqdām-e-intiqām kisī ne nahīñ kiyā

    mahfil meñ koī sāhib-e-husn-e-nazar na thā

    parde ka ehtimām kisī ne nahīñ kiyā

    sab log muqtadī haiñ dimāġhoñ ke āj-kal

    is qalb ko imaam kisī ne nahīñ kiyā

    duniyā lazzatoñ meñ giraftār ho ga.e

    uqbā intizām kisī ne nahīñ kiyā

    ahl-e-junun sa kaam kisi ne nahin kiya

    sahraon mein qayam kisi ne nahin kiya

    ghaalib the dushmanon pe magar ahl-e-zarf the

    iqdam-e-intiqam kisi ne nahin kiya

    mahfil mein koi sahib-e-husn-e-nazar na tha

    parde ka ehtimam kisi ne nahin kiya

    sab log muqtadi hain dimaghon ke aaj-kal

    is qalb ko imam kisi ne nahin kiya

    duniya ki lazzaton mein giraftar ho gae

    uqba ka intizam kisi ne nahin kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now