ahl-e-ulfat se tane jate hain
ahl-e-ulfat se tane jaate haiñ
roz roz aap bane jaate haiñ
zab.h to karte ho kuchh dhyān bhī hai
ḳhuun meñ haath sane jaate haiñ
rūThnā un kā ġhazab Dhā.egā
ab vo kyā jald mane jaate haiñ
kuchh idhar dil bhī khiñchā jaatā hai
kuchh udhar vo bhī tane jaate haiñ
kyuuñ na ġham ho mujhe rusvā.ī kā
vo mire saath sane jaate haiñ
dil na ghabrā.e ki vo ruuTh ga.e
chaar fiqroñ meñ mane jaate haiñ
hai ye matlab nahīñ chheḌe koī
baiThe baiThe vo tane jaate haiñ
be-vafāoñ se vafā kī ummīd
'nūh' nādān bane jaate haiñ
ahl-e-ulfat se tane jate hain
roz roz aap bane jate hain
zabh to karte ho kuchh dhyan bhi hai
KHun mein hath sane jate hain
ruThna un ka ghazab Dhaega
ab wo kya jald mane jate hain
kuchh idhar dil bhi khincha jata hai
kuchh udhar wo bhi tane jate hain
kyun na gham ho mujhe ruswai ka
wo mere sath sane jate hain
dil na ghabrae ki wo ruTh gae
chaar fiqron mein mane jate hain
hai ye matlab nahin chheDe koi
baiThe baiThe wo tane jate hain
be-wafaon se wafa ki ummid
'nuh' nadan bane jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.