ahwal chhupate hain kya jaaniye kya ji ka
ahvāl chhupāte haiñ kyā jāniye kyā jī kā
chehre se baḌī ainak māthe se baḌā Tapkā
ab umr ke ḳheme meñ paivand hī lagne haiñ
sahrā-e-arab ho yā bāzī-gah-e-america
sharminda-e-hastī haiñ pahchān hamārī kyā
kaasa hī to hotā hai chehra bhī savālī kā
merī hī kahānī hai merā hī havāla hai
yā taan ho 'mīrā' kī yā sher ho 'sādī' kā
maiñ apnī siyah-rozī par harf na aane duuñ
qissa jo kabhī nikle tābinda-layālī kā
bas meñ to nahīñ us ke tadbīr tadāruk kī
ehsās use ho bhī gar merī tabāhī kā
jangal meñ hoñ shāyad ham kuchh kam hī sarāsīma
shahroñ meñ to nāfiz hai qānūn safāri kā
ghar jis ne kiyā dil meñ 'shāhīn' ajab shai hai
miTTī sā hai rang us kā aur naam anāmikā
ahwal chhupate hain kya jaaniye kya ji ka
chehre se baDi ainak mathe se baDa Tapka
ab umr ke KHeme mein paiwand hi lagne hain
sahra-e-arab ho ya bazi-gah-e-america
sharminda-e-hasti hain pahchan hamari kya
kasa hi to hota hai chehra bhi sawali ka
meri hi kahani hai mera hi hawala hai
ya tan ho 'mira' ki ya sher ho 'sadi' ka
main apni siyah-rozi par harf na aane dun
qissa jo kabhi nikle tabinda-layali ka
bas mein to nahin us ke tadbir tadaruk ki
ehsas use ho bhi gar meri tabahi ka
jangal mein hon shayad hum kuchh kam hi sarasima
shahron mein to nafiz hai qanun safari ka
ghar jis ne kiya dil mein 'shahin' ajab shai hai
miTTi sa hai rang us ka aur nam anamika
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.