ahwal-e-dil-e-zar sunaya nahin jata
ahvāl-e-dil-e-zār sunāyā nahīñ jaatā
jo raaz ayaañ ho vo batāyā nahīñ jaatā
apnā to dil-e-zār hai dānā.ī se ḳhālī
nādān se nādān manāyā nahīñ jaatā
tum hī ye batāo maiñ bhulā.ūñ tumheñ kaise
is dil se koī naqsh miTāyā nahīñ jaatā
sar phoḌnā mushkil nahīñ hotā hai junūñ meñ
dīvār se āshiq ko lagāyā nahīñ jaatā
ta.abīr mile yā na mile baat alag hai
āñkhoñ se magar ḳhvāb churāyā nahīñ jaatā
us shahr kī tauqīr haiñ 'jāzib' hī se āshiq
ushshāq ko nazroñ se girāyā nahīñ jaatā
ahwal-e-dil-e-zar sunaya nahin jata
jo raaz ayan ho wo bataya nahin jata
apna to dil-e-zar hai danai se KHali
nadan se nadan manaya nahin jata
tum hi ye batao main bhulaun tumhein kaise
is dil se koi naqsh miTaya nahin jata
sar phoDna mushkil nahin hota hai junun mein
diwar se aashiq ko lagaya nahin jata
tabir mile ya na mile baat alag hai
aankhon se magar KHwab churaya nahin jata
us shahr ki tauqir hain 'jazib' hi se aashiq
ushshaq ko nazron se giraya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.