ahwal-e-pareshan par kuchh tabsira us ka bhi
ahvāl-e-pareshāñ par kuchh tabsira us kā bhī
hālāt ke sirhāne kuchh der vo royā bhī
tajdīd-e-ta.alluq par kyā harf ki jab us ne
rishtoñ kī ibārat ko likh likh ke miTāyā bhī
sadiyoñ kī masāfat thī ab qissa-e-māzī hai
ummīd ke dariyā bhī ehsās ke sahrā bhī
kuchh der ko dam lene Thahre the yahāñ sāthī
pairoñ se lipaTne ko tayyār hai rasta bhī
likkhā thā jo afsāna vo ret pe likkhā thā
paanī pe banāyā thā jo naqsh banāyā bhī
kāġhaz ye samajhtā hai baar us pe ḳharāsheñ meñ
yaañ ḳhūn-e-jigar Tapkā jo lafz ki likkhā bhī
'āzād' tujhe us ne apnā nahīñ samjhā bas
go haal bhī pūchhā thā aur haath milāyā bhī
ahwal-e-pareshan par kuchh tabsira us ka bhi
haalat ke sirhane kuchh der wo roya bhi
tajdid-e-talluq par kya harf ki jab us ne
rishton ki ibarat ko likh likh ke miTaya bhi
sadiyon ki masafat thi ab qissa-e-mazi hai
ummid ke dariya bhi ehsas ke sahra bhi
kuchh der ko dam lene Thahre the yahan sathi
pairon se lipaTne ko tayyar hai rasta bhi
likkha tha jo afsana wo ret pe likkha tha
pani pe banaya tha jo naqsh banaya bhi
kaghaz ye samajhta hai bar us pe KHarashen mein
yan KHun-e-jigar Tapka jo lafz ki likkha bhi
'azad' tujhe us ne apna nahin samjha bas
go haal bhi puchha tha aur hath milaya bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.