ahwal-e-ranj bazm mein kahna muhaal hai
ahvāl-e-ranj bazm meñ kahnā muhāl hai
kahte haiñ ḳhuub sher kahā hai kamāl hai
kitnā hasīñ uruuj hai kaisā jamāl hai
lekin azal se tai hai ki ik din zavāl hai
shāyad vo ik sarāb hai lekin maiñ kyā karūñ
merā vahī hai dasht meñ pursān-e-hāl hai
pūchhā gayā hai mujh se tirā kaun hai ḳhudā
yā-rabb-e-ālamīn ye kaisā savāl hai
Darne kā de diyā hai vabā ne nayā sabab
baaqī har ek ḳhauf yahāñ hasb-e-hāl hai
ahwal-e-ranj bazm mein kahna muhaal hai
kahte hain KHub sher kaha hai kamal hai
kitna hasin uruj hai kaisa jamal hai
lekin azal se tai hai ki ek din zawal hai
shayad wo ek sarab hai lekin main kya karun
mera wahi hai dasht mein pursan-e-haal hai
puchha gaya hai mujh se tera kaun hai KHuda
ya-rabb-e-alamin ye kaisa sawal hai
Darne ka de diya hai waba ne naya sabab
baqi har ek KHauf yahan hasb-e-haal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.