ai aasman karam itna zamin par kar de
ai āsmān karam itnā zamīn par kar de
sameT le sabhī tārīkiyāñ sahar kar de
kisī se qissa-e-shahr-e-tilism kah na sakūñ
ilāhī behis-o-be-nutq-o-be-basar kar de
tamām umr ham ik dūsre se mil na sakeñ
safar judā.ī kā itnā tavīl-tar kar de
hanūz chīr-haran kā hai silsila jaarī
koī karishn kanhayyā ko ye ḳhabar kar de
ye ḳhushbuoñ kī qabā gul kī chhāñv us ke liye
'munīr' ke liye maḳhsūs dopahar kar de
ai aasman karam itna zamin par kar de
sameT le sabhi tarikiyan sahar kar de
kisi se qissa-e-shahr-e-tilism kah na sakun
ilahi behis-o-be-nutq-o-be-basar kar de
tamam umr hum ek dusre se mil na saken
safar judai ka itna tawil-tar kar de
hanuz chir-haran ka hai silsila jari
koi karishn kanhayya ko ye KHabar kar de
ye KHushbuon ki qaba gul ki chhanw us ke liye
'munir' ke liye maKHsus dopahar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.