ai ahl-e-mohabbat kya kahiye kya chiz mohabbat hoti hai
ai ahl-e-mohabbat kya kahiye kya chiz mohabbat hoti hai
Kaifi Chirayyakoti
MORE BYKaifi Chirayyakoti
ai ahl-e-mohabbat kyā kahiye kyā chiiz mohabbat hotī hai
kuchh ġham kī haqīqat hotī hai kuchh dil kī tabī.at hotī hai
kul ziist alam tā-zīst alam yak vaqfa-e-dam taskīn-e-alam
sunte haiñ qayāmat aatī hai jab us se bhī fursat hotī hai
uf āyat-e-sajda husn-e-adā jalve ke liye parda bhī uThā
betāb jabīñ jhuk jaatī hai kuchh aisī bhī sūrat hotī hai
kuchh mast nigāh-e-sāqī hai kul mai meñ hai jo kuchh baaqī hai
mai-ḳhāne ke bāhar kuchh bhī nahīñ mai-ḳhāne meñ jannat hotī hai
duniyā se alag ho kar 'kaifī' duniyā se ḳhafā duniyā kā gila
ummīd agar baaqī na rahe tab yaas meñ rāhat hotī hai
ai ahl-e-mohabbat kya kahiye kya chiz mohabbat hoti hai
kuchh gham ki haqiqat hoti hai kuchh dil ki tabiat hoti hai
kul zist alam ta-zist alam yak waqfa-e-dam taskin-e-alam
sunte hain qayamat aati hai jab us se bhi fursat hoti hai
uf aayat-e-sajda husn-e-ada jalwe ke liye parda bhi uTha
betab jabin jhuk jati hai kuchh aisi bhi surat hoti hai
kuchh mast nigah-e-saqi hai kul mai mein hai jo kuchh baqi hai
mai-KHane ke bahar kuchh bhi nahin mai-KHane mein jannat hoti hai
duniya se alag ho kar 'kaifi' duniya se KHafa duniya ka gila
ummid agar baqi na rahe tab yas mein rahat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.