ai ajal aa firaq-e-yar mein aa
ai ajal aa firāq-e-yār meñ aa
kab se huuñ tere intizār meñ aa
kyā tirā kaam vasl meñ ai niiñd
hijr meñ kulah mire mazār meñ aa
kahtī hai pā-e-shauq se vahshat
sū-e-sahrā havā-e-ḳhār meñ aa
jiite jī sair-e-ḳhuld kar ai shaiḳh
aa mire saath kū-e-yār meñ aa
ai ġham-e-marg-e-ārzū na bhaTak
tū mire qalb-e-sogvār meñ aa
jis tarah aatī hai ḳhushī dil meñ
nahīñ ai maut hijr-e-yār meñ aa
un se qaul-o-qarār hotā hai
ab to ai dil zarā qarār meñ aa
kunj-e-uzlat se ai 'shahīr' nikal
bazm-e-rindān-e-bāda-ḳhvār meñ aa
ai ajal aa firaq-e-yar mein aa
kab se hun tere intizar mein aa
kya tera kaam wasl mein ai nind
hijr mein kulah mere mazar mein aa
kahti hai pa-e-shauq se wahshat
su-e-sahra hawa-e-KHar mein aa
jite ji sair-e-KHuld kar ai shaiKH
aa mere sath ku-e-yar mein aa
ai gham-e-marg-e-arzu na bhaTak
tu mere qalb-e-sogwar mein aa
jis tarah aati hai KHushi dil mein
nahin ai maut hijr-e-yar mein aa
un se qaul-o-qarar hota hai
ab to ai dil zara qarar mein aa
kunj-e-uzlat se ai 'shahir' nikal
bazm-e-rindan-e-baada-KHwar mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.