ai andhere raushni ki zad mein aana chhoD de
ai añdhere raushnī kī zad meñ aanā chhoḌ de
āftāb-e-vaqt par unglī uThānā chhoḌ de
ḳhud-baḳhud mahfūz ho jā.egī terī aabrū
maġhribī tahzīb se ḳhud ko sajānā chhoḌ de
nasl-e-nau meñ haq-parastī kī sifat aa jā.egī
luqma-e-tar apne bachchoñ ko khilānā chhoḌ de
mauj-e-tūfāñ se nipaTnā ḳhuub aatā hai mujhe
merī kashtī ko bhañvar āñkheñ dikhānā chhoḌ de
qābiliyyat hai agar tujh meñ to kuchh ban kar batā
tanz kī talvār duniyā par chalānā chhoḌ de
ai amīr-e-shahr ghar meñ raushnī ke vāste
ḳhuun muflis kā charāġhoñ meñ jalānā chhoḌ de
bol kar aatā nahīñ insān par vaqt-e-zavāl
mere ḳhasta-hāl par tū muskurānā chhoḌ de
ai andhere raushni ki zad mein aana chhoD de
aaftab-e-waqt par ungli uThana chhoD de
KHud-baKHud mahfuz ho jaegi teri aabru
maghribi tahzib se KHud ko sajaana chhoD de
nasl-e-nau mein haq-parasti ki sifat aa jaegi
luqma-e-tar apne bachchon ko khilana chhoD de
mauj-e-tufan se nipaTna KHub aata hai mujhe
meri kashti ko bhanwar aankhen dikhana chhoD de
qabiliyyat hai agar tujh mein to kuchh ban kar bata
tanz ki talwar duniya par chalana chhoD de
ai amir-e-shahr ghar mein raushni ke waste
KHun muflis ka charaghon mein jalana chhoD de
bol kar aata nahin insan par waqt-e-zawal
mere KHasta-haal par tu muskurana chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.