ai arz-e-watan hum tujhe tamir karenge
ai arz-e-vatan ham tujhe ta.amīr kareñge
ham terā muqaddar tirī taqdīr likheñge
Daalī hai kamand ham ne sitāroñ pe hamesha
hamrāh surayyā kī bhī zanjīr kareñge
ḳhurshīd-e-vatan ko inhī hāthoñ se ujālā
ham chāñd sitāroñ ko bhī tasḳhīr kareñge
iqbāl ke shāhīn haiñ shahbāz usī ke
dekhe hue har ḳhvāb kī ta.abīr baneñge
samjhā.eñge ab ham tumheñ maz.hab ke ma.ānī
ham amn-o-aḳhūvvat tirī jāgīr kareñge
parcham ke sitāre meñ bhareñ apnī ziyā.eñ
ham apne junūñ se tujhe tanvīr kareñge
ġhamgīn manāzir na ḳhudā dekhe dikhā.e
ham pyaar mohabbat se ye tasvīr bhareñge
phir fasl-e-gul-o-lāla se mahkegā chaman ye
ham nok-e-sabā se tujhe tahrīr kareñge
ai arz-e-watan hum tujhe tamir karenge
hum tera muqaddar teri taqdir likhenge
Dali hai kamand hum ne sitaron pe hamesha
hamrah surayya ki bhi zanjir karenge
KHurshid-e-watan ko inhi hathon se ujala
hum chand sitaron ko bhi tasKHir karenge
iqbaal ke shahin hain shahbaz usi ke
dekhe hue har KHwab ki tabir banenge
samjhaenge ab hum tumhein mazhab ke maani
hum amn-o-aKHuwwat teri jagir karenge
parcham ke sitare mein bharen apni ziyaen
hum apne junun se tujhe tanwir karenge
ghamgin manazir na KHuda dekhe dikhae
hum pyar mohabbat se ye taswir bharenge
phir fasl-e-gul-o-lala se mahkega chaman ye
hum nok-e-saba se tujhe tahrir karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.