ai azm-e-mukammal jo sahaara tera paun
ai azm-e-mukammal jo sahaara tera paun
Hakim Mazhar Subhan Usmani
MORE BYHakim Mazhar Subhan Usmani
ai azm-e-mukammal jo sahārā tirā pā.ūñ
duniyā ke añdhere meñ na.ī sham.a jalā.ūñ
har chiiz chamaktī huī sonā nahīñ hotī
har gaam pe kaise sar-e-taslīm jhukā.ūñ
iz.hār-e-mohabbat kā junūñ naam nahīñ hai
kis tarah se ye raaz zamāne ko batā.ūñ
mallāh bhī sāhil kā pata bhuul ga.e haiñ
Dartā huuñ kināre pe kahīñ Duub na jā.ūñ
huuñ sust magar paañv meñ laġhzish to nahīñ hai
āhista-ḳhirāmī kā maza kyoñ na uThā.ūñ
tauhīn mohabbat kī gavārā nahīñ varna
chāhūñ to har ik ashk se tūfān uThā.ūñ
shā.ir huuñ magar ye to zarūrī nahīñ 'maz.har'
har silsila-e-zulf ko zanjīr banā.ūñ
ai azm-e-mukammal jo sahaara tera paun
duniya ke andhere mein nai shama jalaun
har chiz chamakti hui sona nahin hoti
har gam pe kaise sar-e-taslim jhukaun
izhaar-e-mohabbat ka junun nam nahin hai
kis tarah se ye raaz zamane ko bataun
mallah bhi sahil ka pata bhul gae hain
Darta hun kinare pe kahin Dub na jaun
hun sust magar panw mein laghzish to nahin hai
aahista-KHirami ka maza kyon na uThaun
tauhin mohabbat ki gawara nahin warna
chahun to har ek ashk se tufan uThaun
shair hun magar ye to zaruri nahin 'mazhar'
har silsila-e-zulf ko zanjir banaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.