ai ba-ruKH mushaf-e-gulzar-o-charagh-e-haram-e-ghunchagi-o-aya-e-gul-bari-o-quran-e-bahaar
ai ba-ruKH mushaf-e-gulzar-o-charagh-e-haram-e-ghunchagi-o-aya-e-gul-bari-o-quran-e-bahaar
Josh Malihabadi
MORE BYJosh Malihabadi
Interesting Fact
July 1941
ai ba-ruḳh mus.haf-e-gulzār-o-charāġh-e-haram-e-ġhunchagī-o-āya-e-gul-bārī-o-qur.ān-e-bahār
ai ba-qad mauj-e-ravāñ barq-e-tapāñ sarv-e-sahī shāḳh-e-gul-e-tāza-o-ilhām-e-ḳhirāmān-e-bahār
pa.e gul-gasht zarā us qad-e-balā-e-falak-tāb-o-chaman-sāz ko de izn-e-ḳhirām
ki tire hijr meñ be-kaif hai be-rūh hai be-tāb hai be-ḳhvāb hai lailā-e-ḳhayabān-e-bahār
bazm kī bazm hai pazhmurda-o-afsurda-o-dil-basta-o-ḳhāmosh-o-malūl-o-ġhamnāk
khol de kākul-e-zholīda-o-shab-rang-o-jahāñ-said-o-guhar-bez ki hai chashma-e-haivān-e-bahār
aa bhī jumbish meñ ki haiñ gosh-bar-āvāz adībān-o-harīfān-o-gul-o-lāla-o-sarv
ai lab-e-lāl-e-fusūñ-bār-o-dil-āvez shakar-rez ki hai tujh pe fidā larzish-e-dāmān-e-bahār
barbat-o-ūd-o-sharāb-o-daf-o-afsāna-o-afsūn-o-shab-e-māh-o-rabāb-o-sāġhar
aa ki mushtāq haiñ ai jān-e-chaman zohra-jabīñ hosh-rubā māh-laqā sham-e-shabistān-e-bahār
dahr hai ḳhufta-o-āshufta-o-āzurda-o-ġham-dīda-o-nāshād-o-zabūñ-hāl-o-tabāh
haañ uThā nargis-e-maḳhmūr-o-guhar-tāb-o-junūñ-ḳhez ki hai mahbas-e-mai-ḳhāna-o-zindān-e-bahār
aaj hai 'hāfiz-e-'shīrāzī'-o-'ḳhayyām'-o-'nazīrī'-o-'fuġhānī'-o-'zuhūrī' kā javāb
ye tirā 'josh' ki hai mast-o-ḳharābātī-o-sar-halqa-e-rindān-e-jahāñ qibla-e-ḳhāsān-e-bahār
ai ba-ruKH mushaf-e-gulzar-o-charagh-e-haram-e-ghunchagi-o-aya-e-gul-bari-o-quran-e-bahaar
ai ba-qad mauj-e-rawan barq-e-tapan sarw-e-sahi shaKH-e-gul-e-taza-o-ilham-e-KHiraman-e-bahaar
pae gul-gasht zara us qad-e-bala-e-falak-tab-o-chaman-saz ko de izn-e-KHiram
ki tere hijr mein be-kaif hai be-ruh hai be-tab hai be-KHwab hai laila-e-KHayaban-e-bahaar
bazm ki bazm hai pazhmurda-o-afsurda-o-dil-basta-o-KHamosh-o-malul-o-ghamnak
khol de kakul-e-zholida-o-shab-rang-o-jahan-said-o-guhar-bez ki hai chashma-e-haiwan-e-bahaar
aa bhi jumbish mein ki hain gosh-bar-awaz adiban-o-harifan-o-gul-o-lala-o-sarw
ai lab-e-lal-e-fusun-bar-o-dil-awez shakar-rez ki hai tujh pe fida larzish-e-daman-e-bahaar
barbat-o-ud-o-sharab-o-daf-o-afsana-o-afsun-o-shab-e-mah-o-rabab-o-saghar
aa ki mushtaq hain ai jaan-e-chaman zohra-jabin hosh-ruba mah-laqa sham-e-shabistan-e-bahaar
dahr hai KHufta-o-ashufta-o-azurda-o-gham-dida-o-nashad-o-zabun-haal-o-tabah
han uTha nargis-e-maKHmur-o-guhar-tab-o-junun-KHez ki hai mahbas-e-mai-KHana-o-zindan-e-bahaar
aaj hai 'hafiz-e-'shiraazi'-o-'KHayyam'-o-'naziri'-o-'fughani'-o-'zuhuri' ka jawab
ye tera 'josh' ki hai mast-o-KHarabaati-o-sar-halqa-e-rindan-e-jahan qibla-e-KHasan-e-bahaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.