Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai bad-guman tera hai guman aur ki taraf

Shad Lakhnavi

ai bad-guman tera hai guman aur ki taraf

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    ai bad-gumāñ tirā hai gumāñ aur taraf

    merā tire sivā nahīñ dhyāñ aur taraf

    nāvak mujhe raqīb ko barchhī lagā.iye

    tiir us taraf chale to sināñ aur taraf

    mujh ko sunā ke ġhair ke uupar palaT piro

    palTo jo guftugū meñ zabāñ aur taraf

    hūr-o-parī pe kyā hai hamārā sivā.e yaar

    dil aur taraf hai na jaañ aur taraf

    ghar dil meñ hamāre ḳhudā ke liye na le

    ai ḳhānumāñ-ḳharāb makāñ aur taraf

    ham fāqa-mast rizq-e-muqaddar pe shaad haiñ

    bheje ḳhudā ta.aam ke ḳhvāñ aur taraf

    urdu meñ 'mus.hafī' ko bhī ustād kah ke 'shād'

    āvāza kas gayā ye javāñ aur taraf

    ai bad-guman tera hai guman aur ki taraf

    mera tere siwa nahin dhyan aur ki taraf

    nawak mujhe raqib ko barchhi lagaiye

    tir us taraf chale to sinan aur ki taraf

    mujh ko suna ke ghair ke upar palaT piro

    palTo jo guftugu mein zaban aur ki taraf

    hur-o-pari pe kya hai hamara siwae yar

    dil aur ki taraf hai na jaan aur ki taraf

    ghar dil mein tu hamare KHuda ke liye na le

    ai KHanuman-KHarab makan aur ki taraf

    hum faqa-mast rizq-e-muqaddar pe shad hain

    bheje KHuda taam ke KHwan aur ki taraf

    urdu mein 'mushafi' ko bhi ustad kah ke 'shad'

    aawaza kas gaya ye jawan aur ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now