ai bagule ke libaade mein samai hui ret
ai bagūle ke libāde meñ samā.ī huī ret
saath rakh le mujhe ai vajd meñ aa.ī huī ret
taaki sūraj qarīñ aa.e to ye sahrā ho jaa.e
sau samundar tale us ne hai bichā.ī huī ret
baiThe baiThe mujhe chaurāhā banā detī hai
chaar samtoñ se mirī samt uḌaa.ī huī ret
sham-e-bīnā.ī muñDeroñ kā safar kartī rahī
dil uḌātā rahā āñkhoñ meñ basā.ī huī ret
ghar kī buniyād meñ ārām nahīñ kartī hai
ai mire dost ye Tīloñ se uThā.ī huī ret
har chamaktā huā zarra hai sitāra 'hāris'
āsmāñ hai mire qadmoñ meñ bichā.ī huī ret
ai bagule ke libaade mein samai hui ret
sath rakh le mujhe ai wajd mein aai hui ret
taki suraj qarin aae to ye sahra ho jae
sau samundar tale us ne hai bichai hui ret
baiThe baiThe mujhe chauraha bana deti hai
chaar samton se meri samt uDai hui ret
sham-e-binai munDeron ka safar karti rahi
dil uData raha aankhon mein basai hui ret
ghar ki buniyaad mein aaram nahin karti hai
ai mere dost ye Tilon se uThai hui ret
har chamakta hua zarra hai sitara 'haaris'
aasman hai mere qadmon mein bichai hui ret
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.