ai bahaar-e-bagh duniya chand roz
ai bahār-e-bāġh duniyā chand roz
dekh lo is kā tamāshā chand roz
ai musāfir kuuch kā sāmān kar
is sarā meñ hai baserā chand roz
dafn kar ke qabr meñ bolī qazā
ab yahāñ tum sote rahnā chand roz
hai numā.ish is jahāñ kī is tarah
jaise nau-chandī kā mela chand roz
ġhāfilo yād-e-ilāhī chāhiye
hai bakheḌā zindagī kā chand roz
kyoñ satāte ho kisī majbūr ko
zālimo ye hai zamāna chand roz
ai bahaar-e-bagh duniya chand roz
dekh lo is ka tamasha chand roz
ai musafir kuch ka saman kar
is sara mein hai basera chand roz
dafn kar ke qabr mein boli qaza
ab yahan tum sote rahna chand roz
hai numaish is jahan ki is tarah
jaise nau-chandi ka mela chand roz
ghafilo yaad-e-ilahi chahiye
hai bakheDa zindagi ka chand roz
kyon satate ho kisi majbur ko
zalimo ye hai zamana chand roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.