ai bulbul-e-dil dauD ke jaanan kun pahunch tun
ai bulbul-e-dil dauD ke jaanan kun pahunch tun
Obaidullah Khan Mubtala
MORE BYObaidullah Khan Mubtala
ai bulbul-e-dil dauḌ ke jānāñ kuuñ pahuñch tuuñ
vīrāna-e-tan chhoḌ gulistāñ kuuñ pahuñch tuuñ
tujh hijr siiñ huuñ jāñ-ba-lab ai yaar shifā-baḳhsh
jaldī se mire dard ke darmāñ kuuñ pahuñch tuuñ
yāqūb tire ġham satī ai yūsuf-e-misrī
bekal hai shitābī satī kan.āñ kuuñ pahuñch tuuñ
lagnā hai tujhe paañv siiñ gar ai dil-e-pur-ḳhūñ
sanjāf naman shoḳh ke dāmāñ kuuñ pahuñch tuuñ
ai dil jo tujhe jag mane honā hai surḳh-rū
tū piū ke lab-e-la.al-e-badaḳhshāñ kuuñ pahuñch tuuñ
hai husn kī garmī setī betāb shab-o-roz
ai bād-e-sahar zulf-e-pareshāñ kuuñ pahuñch tuuñ
ai bulbul-e-dil dauD ke jaanan kun pahunch tun
virana-e-tan chhoD gulistan kun pahunch tun
tujh hijr sin hun jaan-ba-lab ai yar shifa-baKHsh
jaldi se mere dard ke darman kun pahunch tun
yaqub tere gham sati ai yusuf-e-misri
bekal hai shitabi sati kanan kun pahunch tun
lagna hai tujhe panw sin gar ai dil-e-pur-KHun
sanjaf naman shoKH ke daman kun pahunch tun
ai dil jo tujhe jag mane hona hai surKH-ru
tu piu ke lab-e-lal-e-badaKHshan kun pahunch tun
hai husn ki garmi seti betab shab-o-roz
ai baad-e-sahar zulf-e-pareshan kun pahunch tun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.