ai but-e-na-ashna kab tujhse begane hain hum
ai but-e-nā-āshnā kab tujh se begāne haiñ ham
tū agar is bazm meñ mai hai to paimāne haiñ ham
bosa leveñ yā gale lag jaa.eñ āzurda na ho
chāhne vaale haiñ aur dīvāne mastāne haiñ ham
kab alam aur hasrateñ apnī kaheñ ai dostāñ
raat ko bulbul haiñ ham aur din ko parvāne haiñ ham
ghūrne se kyā tumhārī āñkhoñ ke ham Dar ga.e
ve agar haiñ mast ai pyāre to dīvāne haiñ ham
ai 'razā' ham mil ga.e us se gale pī kar sharāb
go haiñ dīvāne par apne kaam ke syāne haiñ ham
ai but-e-na-ashna kab tujh se begane hain hum
tu agar is bazm mein mai hai to paimane hain hum
bosa lewen ya gale lag jaen aazurda na ho
chahne wale hain aur diwane mastane hain hum
kab alam aur hasraten apni kahen ai dostan
raat ko bulbul hain hum aur din ko parwane hain hum
ghurne se kya tumhaari aankhon ke hum Dar gae
we agar hain mast ai pyare to diwane hain hum
ai 'raza' hum mil gae us se gale pi kar sharab
go hain diwane par apne kaam ke syane hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.