ai chaara-saz kahish-e-dard-e-nihan na puchh
ai chāra-sāz kāhish-e-dard-e-nihāñ na pūchh
kuchh aur pūchh mujh se mirī dāstāñ na pūchh
sab kuchh huā hai dost jahān-e-ḳharāb meñ
ahvāl-e-gulsitāñ karam-e-bāġhbāñ na pūchh
kyā maslahat thī kis liye majbūr ho ga.e
kyoñ ruk ga.ī hai aa ke laboñ par fuġhāñ na pūchh
guzre haiñ laakh hādse rāh-e-hayāt meñ
kyā kyā batā.ūñ qissa-e-umr-e-ravāñ na pūchh
maazī ke naqsh zehn meñ baaqī nahīñ rahe
thā kis jagah chaman meñ mirā āshiyāñ na pūchh
ai chaara-saz kahish-e-dard-e-nihan na puchh
kuchh aur puchh mujh se meri dastan na puchh
sab kuchh hua hai dost jahan-e-KHarab mein
ahwal-e-gulsitan karam-e-baghban na puchh
kya maslahat thi kis liye majbur ho gae
kyon ruk gai hai aa ke labon par fughan na puchh
guzre hain lakh hadse rah-e-hayat mein
kya kya bataun qissa-e-umr-e-rawan na puchh
mazi ke naqsh zehn mein baqi nahin rahe
tha kis jagah chaman mein mera aashiyan na puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.