ai dard dil mein rah kar dil hi ka raaz ho ja
ai dard dil meñ rah kar dil hī kā raaz ho jā
bīmār-e-ġham kā apne ḳhud chārasāz ho jā
ai jazb-e-dil sarāpā soz-o-gudāz ho jā
duniyā-e-rañg-o-bū meñ duniyā-e-rāz ho jā
haañ haañ baḌhā de muddat pābandi-e-junūñ kī
zulf-e-darāz-e-jānāñ umr-e-darāz ho jā
har zarra-e-haqīqat ye de rahā sadā hai
pahle rah-e-talab meñ ḳhāk-e-majāz ho jā
sar nāma-e-adam hai unvān-e-zindagānī
ai imtiyāz-e-hastī tafsīr-e-rāz ho jā
ai be-ḳhabar guzar jā zauq-e-nazar kī had se
jalvoñ meñ us ke ghir kar jalva-tarāz ho jā
ai banda-e-tarīqat ādāb-e-zindagī sun
mahv-e-sujūd ho kar jān-e-namāz ho jā
ḳhirqa sharāb se tar dastār mai se rañgīñ
ai shaiḳh-e-pāk-dāman yuuñ pāk-bāz ho jā
tū rāzdāñ hai dil kā dil rāz-dār-e-ulfat
yā sarfarāz kar de yā sarfarāz ho jā
tū raunaq-e-haram hai yā but-kada kī zīnat
ḳhud imtiyāz ban kar ik imtiyāz ho jā
jaanā hai jab muqarrar dār-e-fanā se 'afqar'
rāh-e-vafā meñ miT kar ḳhāk-e-hijāz ho jā
ai dard dil mein rah kar dil hi ka raaz ho ja
bimar-e-gham ka apne KHud chaarasaz ho ja
ai jazb-e-dil sarapa soz-o-gudaz ho ja
duniya-e-rang-o-bu mein duniya-e-raaz ho ja
han han baDha de muddat pabandi-e-junun ki
zulf-e-daraaz-e-jaanan umr-e-daraaz ho ja
har zarra-e-haqiqat ye de raha sada hai
pahle rah-e-talab mein KHak-e-majaz ho ja
sar nama-e-adam hai unwan-e-zindagani
ai imtiyaz-e-hasti tafsir-e-raaz ho ja
ai be-KHabar guzar ja zauq-e-nazar ki had se
jalwon mein us ke ghir kar jalwa-taraaz ho ja
ai banda-e-tariqat aadab-e-zindagi sun
mahw-e-sujud ho kar jaan-e-namaz ho ja
KHirqa sharab se tar dastar mai se rangin
ai shaiKH-e-pak-daman yun pak-baz ho ja
tu raazdan hai dil ka dil raaz-dar-e-ulfat
ya sarfaraaz kar de ya sarfaraaz ho ja
tu raunaq-e-haram hai ya but-kada ki zinat
KHud imtiyaz ban kar ek imtiyaz ho ja
jaana hai jab muqarrar dar-e-fana se 'afqar'
rah-e-wafa mein miT kar KHak-e-hijaz ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.