ai dast-e-iKHtiyar dar-e-inkishaf khol
ai dast-e-iḳhtiyār dar-e-inkishāf khol
dekheñ to kyā chhupā hai badan kā ġhilāf khol
vo chhed jis ko bharte hue dasht lag ga.e
dariyā se kah rahā huuñ vahī phir shigāf khol
tujh ko ḳhabar nahīñ hai baġhāvat ke zahr kī
ik baar ye mahāz to apne ḳhilāf khol
shāhā zabān-e-ḳhalq hai naqqāra-e-ḳhudā
tujh ko kabhī karegī nahīñ ye muaaf khol
mujh ko na bāñdh vaqt kī mamnuā shāḳh se
maiñ hī tire vajūd kā huuñ e'tirāf khol
vo raaz jis binā pe banī hai ye kā.enāt
duniyā se kar na jaa.eñ sabhī inhirāf khol
lahjoñ meñ gāñTh paḌne se pahle mire ġhanīm
ham jis pe laḌ rahe the vahī iḳhtilāf khol
nairangī-e-badan se bañdhī hai nazārgī
mujh kor-chashm par bhī koī koh-e-qāf khol
taḳhrīb kah rahī hai saqāfat kī dāstān
tafsīl chāhiye to chaman kā lihāf khol
phūloñ pe band haiñ tirī aamad ke dar 'munīr'
ḳhushbū ke iltimās pe apnā tavāf khol
ai dast-e-iKHtiyar dar-e-inkishaf khol
dekhen to kya chhupa hai badan ka ghilaf khol
wo chhed jis ko bharte hue dasht lag gae
dariya se kah raha hun wahi phir shigaf khol
tujh ko KHabar nahin hai baghawat ke zahr ki
ek bar ye mahaz to apne KHilaf khol
shaha zaban-e-KHalq hai naqqara-e-KHuda
tujh ko kabhi karegi nahin ye muaf khol
mujh ko na bandh waqt ki mamnua shaKH se
main hi tere wajud ka hun e'tiraf khol
wo raaz jis bina pe bani hai ye kaenat
duniya se kar na jaen sabhi inhiraf khol
lahjon mein ganTh paDne se pahle mere ghanim
hum jis pe laD rahe the wahi iKHtilaf khol
nairangi-e-badan se bandhi hai nazargi
mujh kor-chashm par bhi koi koh-e-qaf khol
taKHrib kah rahi hai saqafat ki dastan
tafsil chahiye to chaman ka lihaf khol
phulon pe band hain teri aamad ke dar 'munir'
KHushbu ke iltimas pe apna tawaf khol
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.