ai dil-e-be-adab us yar ki saugand na kha
ai dil-e-be-adab us yaar kī saugand na khā
tuuñ har ik baat meñ dildār kī saugand na khā
rūh-e-chandr-badan ai bul-havas āzurda na kar
ḳhuub nahīñ turbat-e-mahyār kī saugand na khā
ye adā sarv meñ zinhār nahīñ ai qumrī
yaar ke qāmat o raftār kī saugand na khā
ḳhauf kar ḳhat kī siyāhī satī ai va.ada-ḳhilāf
har ghaḌī mus.haf-e-ruḳhsār kī saugand na khā
apnī āñkhoñ kī qasam khā ki liyā nahīñ maiñ ne
jaan le kar dil-e-bīmār kī saugand na khā
pech de de ke mire dil kuuñ pareshāñ to kyā
nāhaq us zulf-e-girah-dār kī saugand na khā
taab us ruḳh kī tajallī kī nahīñ tujh kuuñ 'sirāj'
tuuñ abas shola-e-dīdār kī saugand na khā
ai dil-e-be-adab us yar ki saugand na kha
tun har ek baat mein dildar ki saugand na kha
ruh-e-chandr-badan ai bul-hawas aazurda na kar
KHub nahin turbat-e-mahyar ki saugand na kha
ye ada sarw mein zinhaar nahin ai qumri
yar ke qamat o raftar ki saugand na kha
KHauf kar KHat ki siyahi sati ai wada-KHilaf
har ghaDi mushaf-e-ruKHsar ki saugand na kha
apni aankhon ki qasam kha ki liya nahin main ne
jaan le kar dil-e-bimar ki saugand na kha
pech de de ke mere dil kun pareshan to kya
nahaq us zulf-e-girah-dar ki saugand na kha
tab us ruKH ki tajalli ki nahin tujh kun 'siraj'
tun abas shola-e-didar ki saugand na kha
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 340)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.