ai dil-e-KHush-fahm is aazar se bahar nikal
ai dil-e-ḳhush-fahm is āzār se bāhar nikal
Dhal ga.ī shab ab ḳhayāl-e-yār se bāhar nikal
ishq jis raftār se vārid huā dil meñ mire
us se kah do ab usī raftār se bāhar nikal
ab zarūrat izzatoñ par hamla-zan hone ko hai
zindagī chal ḳhema-e-ḳhud.dār se bāhar nikal
tīrgī ne shaam se pahle hī hamla kar diyā
raushnī ab halqa-e-pindār se bāhar nikal
dil kabhī ek aur saa.at kī talab zāhir kare
harf-e-be-ma.anī lab-e-iz.hār se bāhar nikal
ho nahīñ saktī charāġhoñ se havā kī dostī
fikr-e-nau bazm-e-lab-o-ruḳhsār se bāhar nikal
tujh se āshufta-mizājoñ ko na raas aa.egā ye
'altamash' is shahr-e-pur-asrār se bāhar nikal
ai dil-e-KHush-fahm is aazar se bahar nikal
Dhal gai shab ab KHayal-e-yar se bahar nikal
ishq jis raftar se warid hua dil mein mere
us se kah do ab usi raftar se bahar nikal
ab zarurat izzaton par hamla-zan hone ko hai
zindagi chal KHema-e-KHuddar se bahar nikal
tirgi ne sham se pahle hi hamla kar diya
raushni ab halqa-e-pindar se bahar nikal
dil kabhi ek aur saat ki talab zahir kare
harf-e-be-mani lab-e-izhaar se bahar nikal
ho nahin sakti charaghon se hawa ki dosti
fikr-e-nau bazm-e-lab-o-ruKHsar se bahar nikal
tujh se aashufta-mizajon ko na ras aaega ye
'altamash' is shahr-e-pur-asrar se bahar nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.