ai dil-e-nadan na koi tu sunahre KHwab dekh
ai dil-e-nādāñ na koī tū sunahre ḳhvāb dekh
band hotā jā rahā hai ab vafā kā baab dekh
un ke aane kī ḳhabar bād-e-sabā le aa.ī hai
ho rahā hai dil mirā betāb pe betāb dekh
chāñd ke jalve bhī tujh ko ā.eñge phīke nazar
ik nazar pahle tū us kā chehra-e-zartāb dekh
kyā zarā sā vaqt badlā sab ne āñkheñ pher liiñ
bebasī par muskurāte haiñ mire ahbāb dekh
bhuuk kahtī hai ki kar le aur thoḌī koshisheñ
aur thakan kahtī hai chal ab chal ke koī ḳhvāb dekh
kis qadar karne lage ahl-e-ḳhirad nādāniyāñ
vo badal baiThe haiñ apnā huliya-e-ādāb dekh
ab to sāhil bhī nazar aatā nahīñ hai duur tak
bach nikalne ke 'hirā' mañjhdār se asbāb dekh
ai dil-e-nadan na koi tu sunahre KHwab dekh
band hota ja raha hai ab wafa ka bab dekh
un ke aane ki KHabar baad-e-saba le aai hai
ho raha hai dil mera betab pe betab dekh
chand ke jalwe bhi tujh ko aaenge phike nazar
ek nazar pahle tu us ka chehra-e-zartab dekh
kya zara sa waqt badla sab ne aankhen pher lin
bebasi par muskuraate hain mere ahbab dekh
bhuk kahti hai ki kar le aur thoDi koshishen
aur thakan kahti hai chal ab chal ke koi KHwab dekh
kis qadar karne lage ahl-e-KHirad nadaniyan
wo badal baiThe hain apna huliya-e-adab dekh
ab to sahil bhi nazar aata nahin hai dur tak
bach nikalne ke 'hira' manjhdar se asbab dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.