ai dil-e-nadan tujhe samjhaen kya
ai dil-e-nādāñ tujhe samjhā.eñ kyā
ārzū-e-vasl meñ mar jaa.eñ kyā
ek raushan dil hamāre paas hai
ham añdheroñ se bhalā ghabrā.īñ kyā
jab safar kī koī bhī manzil nahīñ
ham bhī ḳhāk-e-rahguzar ban jaa.eñ kyā
kyā kareñ jab khet chiḌiyāñ chug ga.iiñ
ab agar pachhtā.eñ to pachhtā.eñ kyā
bevafā ko bā-vafā kahne lageñ
ishq kī rasm-e-kohan jhuTlā.eñ kyā
zindagī ḳhā.if hai ḳhud hī maut se
zindagī ke naam par itrā.eñ kyā
tabsire duniyā badal sakte nahīñ
tabsire hālāt par farmā.eñ kyā
ḳhāmushī jin kā muqaddar hai 'suhaib'
un zabānoñ kī sadā ban jaa.eñ kyā
ai dil-e-nadan tujhe samjhaen kya
aarzu-e-wasl mein mar jaen kya
ek raushan dil hamare pas hai
hum andheron se bhala ghabrain kya
jab safar ki koi bhi manzil nahin
hum bhi KHak-e-rahguzar ban jaen kya
kya karen jab khet chiDiyan chug gain
ab agar pachhtaen to pachhtaen kya
bewafa ko ba-wafa kahne lagen
ishq ki rasm-e-kohan jhuTlaen kya
zindagi KHaif hai KHud hi maut se
zindagi ke nam par itraen kya
tabsire duniya badal sakte nahin
tabsire haalat par farmaen kya
KHamushi jin ka muqaddar hai 'suhaib'
un zabanon ki sada ban jaen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.