ai dil-e-nadan ye jazb-e-ishq hai
ai dil-e-nādāñ ye jazb-e-ishq hai
dekh betābāna vo kaun aa gayā
lūTte ham kyā javānī kī bahār
ġhuncha-e-dil khilte hī murjhā gayā
aql-o-hosh-o-sabr-o-ārām-o-qarār
ek jaane se tire kyā kyā gayā
zindagī guzregī kis ummīd par
intizār-e-va.ada-e-fardā gayā
dil ko maiñ bahlā rahā huuñ is tarah
aa rahā hai aa.egā vo aa gayā
ishq meñ aayā hai ik aisā maqām
yaad jab maiñ ne kiyā vo aa gayā
haa.e vo un kī nigāh-e-sharm-sār
us nadāmat par maiñ ḳhud sharmā gayā
ik ajab shai hai sharāb-e-be-ḳhudī
kho gayā jab maiñ to sab kuchh pā gayā
tū ne 'sā.ib' ko gañvāyā be-sabab
ye ziyāñ terā hai us kā kyā gayā
ai dil-e-nadan ye jazb-e-ishq hai
dekh betabana wo kaun aa gaya
luTte hum kya jawani ki bahaar
ghuncha-e-dil khilte hi murjha gaya
aql-o-hosh-o-sabr-o-aram-o-qarar
ek jaane se tere kya kya gaya
zindagi guzregi kis ummid par
intizar-e-wada-e-farda gaya
dil ko main bahla raha hun is tarah
aa raha hai aaega wo aa gaya
ishq mein aaya hai ek aisa maqam
yaad jab main ne kiya wo aa gaya
hae wo un ki nigah-e-sharm-sar
us nadamat par main KHud sharma gaya
ek ajab shai hai sharab-e-be-KHudi
kho gaya jab main to sab kuchh pa gaya
tu ne 'saib' ko ganwaya be-sabab
ye ziyan tera hai us ka kya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.