ai dil-e-zar kahin nind na ho tari
ai dil-e-zār kahīñ niiñd na ho taarī
chashm-e-darvesh bhī ḳhvāboñ se nahīñ aarī
jism kā dasht bhī sunsān hai barsoñ se
mulk-e-dil par bhī nahīñ ruuh kī sardārī
chāñd se kam na thī ham hijr ke māroñ ko
us shab-e-tār meñ mauhūm sī chingārī
yak-ba-yak kaun mirī fikr meñ dar aayā
nahr-e-ḳhushbū sī bayābāñ meñ huī jaarī
raakh ke Dher meñ sho'la hai koī raqsāñ
mere andar hai abhī tak koī inkārī
zulf-e-pechāñ tirī zanjīr banegī kab
kab 'amal meñ mirī aa.egī giraftārī
ai dil-e-zar kahin nind na ho tari
chashm-e-darwesh bhi KHwabon se nahin aari
jism ka dasht bhi sunsan hai barson se
mulk-e-dil par bhi nahin ruh ki sardari
chand se kam na thi hum hijr ke maron ko
us shab-e-tar mein mauhum si chingari
yak-ba-yak kaun meri fikr mein dar aaya
nahr-e-KHushbu si bayaban mein hui jari
rakh ke Dher mein sho'la hai koi raqsan
mere andar hai abhi tak koi inkari
zulf-e-pechan teri zanjir banegi kab
kab 'amal mein meri aaegi giraftari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.