Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai dil hua hai jaise mere dil ko tu pasand

Nawab Umrao Bahadur Diler

ai dil hua hai jaise mere dil ko tu pasand

Nawab Umrao Bahadur Diler

MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler

    ai dil huā hai jaise mire dil ko pasand

    aaya koī hasīn na tire rū-ba-rū pasand

    Tāñke lagāo halq pe ḳhanjar ko pher kar

    phir ye kaho hameñ hai ye tauq-e-gulū pasand

    īmān se ḳhudā ke liye sach batā

    vaa.iz kisī ko bhī hai tirī guftugū pasand

    aafat hai zamzama to ġhazab gaTkarī taan

    kyoñ ho na mujh ko tujh but-e-ḳhush-gulū pasand

    dard-e-firāq meñ dil-e-sad-chāk ko mire

    tār-e-nigāh-e-yār hai bahr-e-rafū pasand

    roz-e-alast se huuñ maiñ sarshār vā.izo

    kyoñ ho na mujh ko bāda-o-jām-o-subū pasand

    dard-e-firāq-e-dost pe marte haiñ dil jigar

    donoñ ko hai bas ek yahī aarzū pasand

    dekhūñgā aañkh uuThā ke na maiñ huur taraf

    mar kar bhī haañ rahegī yahī aarzū pasand

    jhūTī mile sharāb jo us but sāqiyā

    kyoñ ho na zāhidoñ ko vo bahr-e-vuzū pasand

    abrū se go laḌā kabhī tīr-e-nigāh se

    dil ko hai mere jang ye ai jang-jū pasand

    ai dil hua hai jaise mere dil ko tu pasand

    aaya koi hasin na tere ru-ba-ru pasand

    Tanke lagao halq pe KHanjar ko pher kar

    phir ye kaho hamein hai ye tauq-e-gulu pasand

    iman se KHuda ke liye tu hi sach bata

    waiz kisi ko bhi hai teri guftugu pasand

    aafat hai zamzama to ghazab gaTkari ki tan

    kyon ho na mujh ko tujh sa but-e-KHush-gulu pasand

    dard-e-firaq mein dil-e-sad-chaak ko mere

    tar-e-nigah-e-yar hai bahr-e-rafu pasand

    roz-e-alast se hun main sarshaar waizo

    kyon ho na mujh ko baada-o-jam-o-subu pasand

    dard-e-firaq-e-dost pe marte hain dil jigar

    donon ko hai bas ek yahi aarzu pasand

    dekhunga aankh uTha ke na main hur ki taraf

    mar kar bhi han rahegi yahi aarzu pasand

    jhuTi mile sharab jo us but ki saqiya

    kyon ho na zahidon ko wo bahr-e-wuzu pasand

    abru se go laDa kabhi tir-e-nigah se

    dil ko hai mere jang ye ai jang-ju pasand

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now