ai dil is ka tujhe andaz-e-suKHan yaad nahin
ai dil is kā tujhe andāz-e-suḳhan yaad nahīñ
vo phirī aañkh vo māthe kī shikan yaad nahīñ
qaid-e-sayyād meñ jab se huuñ chaman yaad nahīñ
dost haiñ ahl-e-qafas ahl-e-vatan yaad nahīñ
hijr meñ dil ke hameñ dāġh-e-kuhan yaad nahīñ
muskurāte hue phūloñ kā chaman yaad nahīñ
vo ḳhunuk chāndnī rāteñ vo fazā aap aur maiñ
aur vaade vo lab-e-gañg-o-jaman yaad nahīñ
maiñ vo nākām musāfir huuñ jahāñ meñ jis ko
shām-e-ġhurbat ke sivā sub.h-e-vatan yaad nahīñ
aarzū dost kī bekār hai ġhurbat meñ 'rashīd'
aap ko hālat-e-yārān-e-vatan yaad nahīñ
ai dil is ka tujhe andaz-e-suKHan yaad nahin
wo phiri aankh wo mathe ki shikan yaad nahin
qaid-e-sayyaad mein jab se hun chaman yaad nahin
dost hain ahl-e-qafas ahl-e-watan yaad nahin
hijr mein dil ke hamein dagh-e-kuhan yaad nahin
muskuraate hue phulon ka chaman yaad nahin
wo KHunuk chandni raaten wo faza aap aur main
aur wade wo lab-e-gang-o-jaman yaad nahin
main wo nakaam musafir hun jahan mein jis ko
sham-e-ghurbat ke siwa subh-e-watan yaad nahin
aarzu dost ki bekar hai ghurbat mein 'rashid'
aap ko haalat-e-yaran-e-watan yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.