ai dil na aqida hai dawa par na dua par
ai dil na 'aqīda hai davā par na du'ā par
kam-baḳht tujhe chhoḌ diyā ham ne ḳhudā par
is tarah sunī 'ishq meñ nāseh kī har ik baat
parhez kyā karte haiñ jis tarah davā par
ab tak to kabhī be-mai-o-ma.ashūq na guzrī
ā.inda razā-mand huuñ mālik kī razā par
itne to gunahgār haiñ badnām-e-mohabbat
āñkheñ to malī haiñ tire naqsh-e-kaf-e-pā par
dil lene ke andāz kā kuchh naam nahīñ hai
mauqūf hai ye chiiz adā par na hayā par
allāh mujhe kam se kam itnā to banā de
ek ek to dil duuñ tirī ek ek adā par
dekheñ tire kūche kī zarā āb-o-havā bhī
chalte haiñ jo paanī pe jo uḌte havā par
aaj aap ko dekhā magar ab tak to sunā thā
qaa.il nahīñ hotā kabhī insān ḳhatā par
mā'lūm nahīñ kaun sī miTTī se bane haiñ
vo log jo ġhash haiñ tire naqsh-e-kaf-e-pā par
ham apne ḳhayālāt kī islāh kareñge
koshish to bahut kī hai bharosa hai ḳhudā par
hotā huuñ tirī shān-e-karīmī ke tasadduq
marne ke liye hote haiñ chyūñTī ko 'atā par
ai dost farāmosh ye hai haal hamārā
āmīn kahā karte haiñ dushman kī du'ā par
kyā aah se armān nikalte haiñ kisī ke
pul bāñdhte haiñ bāñdhne vaale to havā par
taklīf hamesha dil-e-ḳhud-sar ne uThā.ī
aa.ī haiñ balā.eñ bahut us ek balā par
allāh ne kyā kyā tire muñh se na sunāyā
ham shukr bhī karte haiñ shikāyat kī binā par
taakā thā mujhe aur chhiddā ġhair kā siina
ai vaah nikāle haiñ tire tiir ne kyā par
'āshiq huuñ to kyā aap kī sohbat meñ rahā huuñ
hañsnā hī paḌegā mire rone kī adā par
vo kaun haiñ maiñ kaun huuñ kyā muñh se nikālūñ
mansūr ko suulī milī aisī hī ḳhatā par
aise tire 'āshiq kabhī dekhe na sune the
pahre to biThā.e nahīñ naqsh-e-kaf-e-pā par
'ushshāq se bhūle kahīñ dekhe bhī haiñ tum ne
mar miTte haiñ ye log faqat nām-e-vafā par
tum se to 'safī' ne faqat ik Dhoñg kiyā hai
khātā hai na piitā hai to jiitā hai havā par
ai dil na 'aqida hai dawa par na du'a par
kam-baKHt tujhe chhoD diya hum ne KHuda par
is tarah suni 'ishq mein naseh ki har ek baat
parhez kya karte hain jis tarah dawa par
ab tak to kabhi be-mai-o-mashuq na guzri
aainda raza-mand hun malik ki raza par
itne to gunahgar hain badnam-e-mohabbat
aankhen to mali hain tere naqsh-e-kaf-e-pa par
dil lene ke andaz ka kuchh nam nahin hai
mauquf hai ye chiz ada par na haya par
allah mujhe kam se kam itna to bana de
ek ek to dil dun teri ek ek ada par
dekhen tere kuche ki zara aab-o-hawa bhi
chalte hain jo pani pe jo uDte hawa par
aaj aap ko dekha magar ab tak to suna tha
qail nahin hota kabhi insan KHata par
ma'lum nahin kaun si miTTi se bane hain
wo log jo ghash hain tere naqsh-e-kaf-e-pa par
hum apne KHayalat ki islah karenge
koshish to bahut ki hai bharosa hai KHuda par
hota hun teri shan-e-karimi ke tasadduq
marne ke liye hote hain chyunTi ko 'ata par
ai dost faramosh ye hai haal hamara
aamin kaha karte hain dushman ki du'a par
kya aah se arman nikalte hain kisi ke
pul bandhte hain bandhne wale to hawa par
taklif hamesha dil-e-KHud-sar ne uThai
aai hain balaen bahut us ek bala par
allah ne kya kya tere munh se na sunaya
hum shukr bhi karte hain shikayat ki bina par
taka tha mujhe aur chhidda ghair ka sina
ai wah nikale hain tere tir ne kya par
'ashiq hun to kya aap ki sohbat mein raha hun
hansna hi paDega mere rone ki ada par
wo kaun hain main kaun hun kya munh se nikalun
mansur ko suli mili aisi hi KHata par
aise tere 'ashiq kabhi dekhe na sune the
pahre to biThae nahin naqsh-e-kaf-e-pa par
'ushshaq se bhule kahin dekhe bhi hain tum ne
mar miTte hain ye log faqat nam-e-wafa par
tum se to 'safi' ne faqat ek Dhong kiya hai
khata hai na pita hai to jita hai hawa par
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 119)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.