ai dil na kar tu fikr paDega bala ke hath
ai dil na kar tu fikr paDega bala ke hath
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
ai dil na kar tū fikr paḌegā balā ke haath
ā.īna ho ke jā ke lag ab dilrubā ke haath
paiġhām dard-e-dil kā mire ġhuncha-lab satī
pahuñchā sakegā kaun magar duuñ sabā ke haath
maiñ ab gila jahāñ meñ begānoñ siiñ kyā karūñ
jiinā huā muhāl mujhe āshnā ke haath
denā nahīñ hai shīsha-e-dil sang-dil ke ta.iiñ
diije agar ye dil to kisū mīrzā ke haath
āzād ho rahā huuñ do 'ālam ke qaid suuñ
miitā lagā hai jab satīñ muj be-navā ke haath
tābe' razā kā us kī azal siiñ kiyā mujhe
chaltā nahīñ hai zor kisūñ kā qazā ke haath
'hātim' umiid haq pe na rākhe to kyā kare
mauqūf hai milāp sajan kā ḳhudā ke haath
ai dil na kar tu fikr paDega bala ke hath
aaina ho ke ja ke lag ab dilruba ke hath
paigham dard-e-dil ka mere ghuncha-lab sati
pahuncha sakega kaun magar dun saba ke hath
main ab gila jahan mein beganon sin kya karun
jina hua muhaal mujhe aashna ke hath
dena nahin hai shisha-e-dil sang-dil ke tain
dije agar ye dil to kisu mirza ke hath
aazad ho raha hun do 'alam ke qaid sun
mita laga hai jab satin muj be-nawa ke hath
tabe' raza ka us ki azal sin kiya mujhe
chalta nahin hai zor kisun ka qaza ke hath
'hatim' umid haq pe na rakhe to kya kare
mauquf hai milap sajan ka KHuda ke hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.