ai dil samaaton pe sitam ki duhai de
ai dil samā'atoñ pe sitam kī duhā.ī de
is be-karāñ sukūt meñ kuchh to sunā.ī de
ye vasf bhī kamāl-e-junūñ āshnā.ī de
har aa.ine meñ ik vahī sūrat dikhā.ī de
maiñ bhī to rañg-o-bū kā tamāshā karūñ kabhī
qudrat mire chaman ko bhī jalva-numā.ī de
dil kī basāratoñ kā ye e'jāz hai ki maiñ
āñkheñ bhī band rakkhūñ to rasta dikhā.ī de
har samt zindagī kā hai mela lagā huā
lekin har aadmī yahāñ tanhā dikhā.ī de
ai dil sama'aton pe sitam ki duhai de
is be-karan sukut mein kuchh to sunai de
ye wasf bhi kamal-e-junun aashnai de
har aaine mein ek wahi surat dikhai de
main bhi to rang-o-bu ka tamasha karun kabhi
qudrat mere chaman ko bhi jalwa-numai de
dil ki basaraton ka ye e'jaz hai ki main
aankhen bhi band rakkhun to rasta dikhai de
har samt zindagi ka hai mela laga hua
lekin har aadmi yahan tanha dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.