ai dil tere tufail jo mujh par sitam hue
ai dil tire tufail jo mujh par sitam hue
pūchhe jo mujh se koī to kah duuñ ki kam hue
mere charāġh-e-zehn ko vo gul na kar sake
hālāñki sab añdhere mire dil meñ zam hue
harf-e-ġhazab se bhī hameñ mahrūm kar diyā
yuuñ be-niyāz ham se hamāre sanam hue
un kī zamīn-e-dil kā to qissa hī aur hai
varna un āñsuoñ se to sahrā bhī nam hue
ahbāb ne to rāste DhūñDe the muḳhtalif
lekin sab aa ke merī hī rāhoñ meñ zam hue
rabt-e-dilī se ḳhalq ko ab vāsta kahāñ
ab to hamā-shumā bhī asīr-e-manam hue
'arshad' fasīl-e-zehn meñ baḌhne lagā jo habs
ham shahr-e-dil meñ jā ke zarā tāza-dam hue
ai dil tere tufail jo mujh par sitam hue
puchhe jo mujh se koi to kah dun ki kam hue
mere charagh-e-zehn ko wo gul na kar sake
haalanki sab andhere mere dil mein zam hue
harf-e-ghazab se bhi hamein mahrum kar diya
yun be-niyaz hum se hamare sanam hue
un ki zamin-e-dil ka to qissa hi aur hai
warna un aansuon se to sahra bhi nam hue
ahbab ne to raste DhunDe the muKHtalif
lekin sab aa ke meri hi rahon mein zam hue
rabt-e-dili se KHalq ko ab wasta kahan
ab to hama-shuma bhi asir-e-manam hue
'arshad' fasil-e-zehn mein baDhne laga jo habs
hum shahr-e-dil mein ja ke zara taza-dam hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.