ai dil tujhe kya waqt ki pahchan nahin hai
ai dil tujhe kyā vaqt kī pahchān nahīñ hai
ab un se mulāqāt kā imkān nahīñ hai
tevar na hoñ insāñ ke to kuchh jaan nahīñ hai
kyā ḳhat hai vo jis kā koī unvān nahīñ hai
kyoñ josh-e-mohabbat kā vo tūfān nahīñ hai
kyā dil nahīñ siine meñ hai kyā jaan nahīñ hai
ġham shart hai daurāñ kā ho yā ho ġham-e-jānāñ
jis ko na koī ġham ho vo insān nahīñ hai
aa.e haiñ mire jazb-e-mohabbat ke asar se
kuchh un kī ināyāt kā ehsān nahīñ hai
dushman kā samajh lenā to dushvār nahīñ 'zabt'
par dost kī pahchān to āsān nahīñ hai
ai dil tujhe kya waqt ki pahchan nahin hai
ab un se mulaqat ka imkan nahin hai
tewar na hon insan ke to kuchh jaan nahin hai
kya KHat hai wo jis ka koi unwan nahin hai
kyon josh-e-mohabbat ka wo tufan nahin hai
kya dil nahin sine mein hai kya jaan nahin hai
gham shart hai dauran ka ho ya ho gham-e-jaanan
jis ko na koi gham ho wo insan nahin hai
aae hain mere jazb-e-mohabbat ke asar se
kuchh un ki inayat ka ehsan nahin hai
dushman ka samajh lena to dushwar nahin 'zabt'
par dost ki pahchan to aasan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.