ai do-jahan ke malik aala hai nam tera
ai do-jahan ke malik aala hai nam tera
Anisa Haroon Sharwaniya
MORE BYAnisa Haroon Sharwaniya
ai do-jahāñ ke mālik a.alā hai naam terā
par dil kī bastiyoñ meñ dekhā maqām terā
mauqūf kab hai jinn-o-ins-o-malā.ika par
taa.ir bhī naam lete haiñ sub.h-o-shām terā
taḳhsīs ne.amatoñ meñ abrār kī nahīñ kuchh
ashrār par bhī har-dam hai lutf-e-ām terā
had ho ga.ī ki tere mahbūb kī zabāñ se
ham ḳhākiyoñ ko pahuñchā yārab payām terā
tū pardār-e-shab hai to ḳhāliq-e-sahar hai
ḳhurshīd-e-charḳh kyā hai adnā ġhulām terā
sab kuchh miTā chukī huuñ is aarzū pe yārab
ho jaa.e lauh-e-dil par manqūsh naam terā
ai do-jahan ke malik aala hai nam tera
par dil ki bastiyon mein dekha maqam tera
mauquf kab hai jinn-o-ins-o-malaika par
tair bhi nam lete hain subh-o-sham tera
taKHsis neamaton mein abrar ki nahin kuchh
ashrar par bhi har-dam hai lutf-e-am tera
had ho gai ki tere mahbub ki zaban se
hum KHakiyon ko pahuncha yarab payam tera
tu pardar-e-shab hai to KHaliq-e-sahar hai
KHurshid-e-charKH kya hai adna ghulam tera
sab kuchh miTa chuki hun is aarzu pe yarab
ho jae lauh-e-dil par manqush nam tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.