ai dost! teri aankh jo nam hai to mujhe kya
ai dost! tirī aañkh jo nam hai to mujhe kyā
maiñ ḳhuub hañsūñgā tujhe ġham hai to mujhe kyā
kyā maiñ ne kahā thā ki zamāne se bhalā kar
ab tū bhī sazāvār-e-sitam hai to mujhe kyā
haañ le le qasam gar mujhe qatra bhī milā ho
tū shākī-e-arbāb-e-karam hai to mujhe kyā
jis dar se nadāmat ke sivā kuchh nahīñ miltā
us dar pe tirā sar bhī jo ḳham hai to mujhe kyā
maiñ ne to pukārā hai mohabbat ke ufaq se
raste meñ tire sañg-e-haram hai to mujhe kyā
bhūlā to na hogā tujhe suqrāt kā anjām
hāthoñ meñ tire sāġhar-e-sam hai to mujhe kyā
patthar na paḌeñ gar sar-e-bāzār to kahnā
tū motarif-e-husn-e-sanam hai to mujhe kyā
maiñ sarmad o mansūr banā huuñ tirī ḳhātir
ye bhī tirī ummīd se kam hai to mujhe kyā
ai dost! teri aankh jo nam hai to mujhe kya
main KHub hansunga tujhe gham hai to mujhe kya
kya main ne kaha tha ki zamane se bhala kar
ab tu bhi sazawar-e-sitam hai to mujhe kya
han le le qasam gar mujhe qatra bhi mila ho
tu shaki-e-arbab-e-karam hai to mujhe kya
jis dar se nadamat ke siwa kuchh nahin milta
us dar pe tera sar bhi jo KHam hai to mujhe kya
main ne to pukara hai mohabbat ke ufaq se
raste mein tere sang-e-haram hai to mujhe kya
bhula to na hoga tujhe suqraat ka anjam
hathon mein tere saghar-e-sam hai to mujhe kya
patthar na paDen gar sar-e-bazar to kahna
tu motarif-e-husn-e-sanam hai to mujhe kya
main sarmad o mansur bana hun teri KHatir
ye bhi teri ummid se kam hai to mujhe kya
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 104)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.