ai dost teri baat sahar-KHez bahut hai
ai dost tirī baat sahar-ḳhez bahut hai
par tarz-e-takallum tirā ḳhūñ-rez bahut hai
gum-sum sā khaḌā hai koī darvāza-e-dil par
is shaam kā manzar to dil-āvez bahut hai
mahfil meñ tire hone se hai rañg pe mausam
ahvāl-e-ḳhās-o-ām tarab-ḳhez bahut hai
ik shaḳhs jo uljhā hai na.ī fikr-o-nazar meñ
vo sāhib-e-ḳhush-fahm hai aur tez bahut hai
jo baat tū kahtā hai vahī baat ho shāyad
lekin tirī ye baat ġham-añgez bahut hai
bhaḌke hue sho.ale hī matā-e-dil-o-jāñ haiñ
'ālam' tire kūche meñ havā tez bahut hai
ai dost teri baat sahar-KHez bahut hai
par tarz-e-takallum tera KHun-rez bahut hai
gum-sum sa khaDa hai koi darwaza-e-dil par
is sham ka manzar to dil-awez bahut hai
mahfil mein tere hone se hai rang pe mausam
ahwal-e-KHas-o-am tarab-KHez bahut hai
ek shaKHs jo uljha hai nai fikr-o-nazar mein
wo sahib-e-KHush-fahm hai aur tez bahut hai
jo baat tu kahta hai wahi baat ho shayad
lekin teri ye baat gham-angez bahut hai
bhaDke hue shoale hi mata-e-dil-o-jaan hain
'alam' tere kuche mein hawa tez bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.