ai dost tu ne war ye bharpur kar diya
ai dost tū ne vaar ye bharpūr kar diyā
pahle qarīb kar ke mujhe duur kar diyā
rahtī huuñ terī yaad meñ mad.hosh raat din
tere surūr-o-kaif ne maḳhmūr kar diyā
kishmish sī nāznīn thī shāḳh-e-badan mirī
chāhat kī āb-o-tāb se añgūr kar diyā
ḳhushbū tire badan kī hai sāñsoñ meñ aaj tak
tū ne milan ke ba.ad to pur-nūr kar diyā
tanhā.ī zindagī kī kaThin ho ga.ī thī yaar
lams-o-surūr baḳhsh ke masrūr kar diyā
mujh ko sharāb-e-ishq pilā ne kī der thī
maiñ ne bhī kā.enāt ko maḳhmūr kar diyā
malba tumhārī yaad kā Dhoyā hai raat din
nāzuk sī ek laḌkī ko mazdūr kar diyā
detī haiñ mujh ko ta.ane mirī sab saheliyāñ
kahtī haiñ tujh ko ishq ne maġhrūr kar diyā
ai dost tu ne war ye bharpur kar diya
pahle qarib kar ke mujhe dur kar diya
rahti hun teri yaad mein madhosh raat din
tere surur-o-kaif ne maKHmur kar diya
kishmish si naznin thi shaKH-e-badan meri
chahat ki aab-o-tab se angur kar diya
KHushbu tere badan ki hai sanson mein aaj tak
tu ne milan ke baad to pur-nur kar diya
tanhai zindagi ki kaThin ho gai thi yar
lams-o-surur baKHsh ke masrur kar diya
mujh ko sharab-e-ishq pila ne ki der thi
main ne bhi kaenat ko maKHmur kar diya
malba tumhaari yaad ka Dhoya hai raat din
nazuk si ek laDki ko mazdur kar diya
deti hain mujh ko tane meri sab saheliyan
kahti hain tujh ko ishq ne maghrur kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.