ai falak mujhko mukarna hai mukar jata hun
ai falak mujh ko mukarnā hai mukar jaatā huuñ
ab zamīñ ko mirī hājat hai utar jaatā huuñ
rokne vaale mujhe rok nahīñ paate haiñ
maiñ to dariyā huuñ bahar-hāl guzar jaatā huuñ
mujh se kahne lagā ilzām mujassam ho kar
maiñ to aksar kisī mā'sūm ke sar jaatā huuñ
dhuup ne zarb lagā.ī hai mujhe aisī ki maiñ
chhāñv se aañkh milāte hue mar jaatā huuñ
ai ġhazal hurmat-e-dastār pe harf aa.egā
maiñ agar sar-phire zardār ke ghar jaatā huuñ
maiñ to sonā huuñ nahīñ is meñ koī shak lekin
hijr meñ dhuul kī mānind bikhar jaatā huuñ
is-qadar nūr-e-mohabbat hai mirī āñkhoñ meñ
mujh ko bas tū nazar aatā hai jidhar jaatā huuñ
sirf hikmat ke sabab hotā hai aisā 'zāhid'
kaun kahtā hai ki maiñ Dar ke Thahar jaatā huuñ
ai falak mujh ko mukarna hai mukar jata hun
ab zamin ko meri hajat hai utar jata hun
rokne wale mujhe rok nahin pate hain
main to dariya hun bahar-haal guzar jata hun
mujh se kahne laga ilzam mujassam ho kar
main to aksar kisi ma'sum ke sar jata hun
dhup ne zarb lagai hai mujhe aisi ki main
chhanw se aankh milate hue mar jata hun
ai ghazal hurmat-e-dastar pe harf aaega
main agar sar-phire zardar ke ghar jata hun
main to sona hun nahin is mein koi shak lekin
hijr mein dhul ki manind bikhar jata hun
is-qadar nur-e-mohabbat hai meri aankhon mein
mujh ko bas tu nazar aata hai jidhar jata hun
sirf hikmat ke sabab hota hai aisa 'zahid'
kaun kahta hai ki main Dar ke Thahar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.