ai gham-e-dost tera wo hi sahaara hoga
ai ġham-e-dost tirā vo hī sahārā hogā
be-ḳhabar rah ke tujhe jis ne bulāyā hogā
apne āñgan meñ abhī tak vo bhaTaktā hogā
naqsh-e-pā aap kā jis ne bhī miTāyā hogā
apne maazī ke kuchh aurāq ulaT kar dekho
koī to hogā jo ab tak vahīñ Thahrā hogā
ye samajh kar hī chhupā rakhā hai āñkhoñ meñ use
aap kā aks magar aap se pyārā hogā
ab bhī siine meñ liye aag meñ jaltī huuñ nadīm
ik na ik din mire ghar meñ bhī ujālā hogā
merī barbād tamannāoñ pe hañsne vaalā
apnī palkoñ ko bhī kuchh der bhigoyā hogā
'nāz' behtar to yahī hai ki ghar ab lauT chaleñ
kyā ḳhabar koī sar-e-shām hī aayā hogā
ai gham-e-dost tera wo hi sahaara hoga
be-KHabar rah ke tujhe jis ne bulaya hoga
apne aangan mein abhi tak wo bhaTakta hoga
naqsh-e-pa aap ka jis ne bhi miTaya hoga
apne mazi ke kuchh auraq ulaT kar dekho
koi to hoga jo ab tak wahin Thahra hoga
ye samajh kar hi chhupa rakha hai aankhon mein use
aap ka aks magar aap se pyara hoga
ab bhi sine mein liye aag mein jalti hun nadim
ek na ek din mere ghar mein bhi ujala hoga
meri barbaad tamannaon pe hansne wala
apni palkon ko bhi kuchh der bhigoya hoga
'naz' behtar to yahi hai ki ghar ab lauT chalen
kya KHabar koi sar-e-sham hi aaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.