ai gham-e-hijr raat kitni hai
ai ġham-e-hijr raat kitnī hai
aur terī hayāt kitnī hai
saañs par hai madār hastī kā
kā.enāt-e-hayāt kitnī hai
os ke motiyoñ se ye pūchho
ābrū-e-hayāt kitnī hai
pūchhtā huuñ kisī se apnā patā
be-ḳhabar merī zaat kitnī hai
kyuuñ haram hī ke ho rahe vaa.iz
vus.at-e-kā.enāt kitnī hai
dīda-e-barhaman se dekh ai shaiḳh
azmat-e-somnāt kitnī hai
ai gham-e-hijr raat kitni hai
aur teri hayat kitni hai
sans par hai madar hasti ka
kaenat-e-hayat kitni hai
os ke motiyon se ye puchho
aabru-e-hayat kitni hai
puchhta hun kisi se apna pata
be-KHabar meri zat kitni hai
kyun haram hi ke ho rahe waiz
wusat-e-kaenat kitni hai
dida-e-barhaman se dekh ai shaiKH
azmat-e-somnat kitni hai
- Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 319)
- Author : Sahir Hoshiyarpuri
- Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.