ai gham-e-zist tere chahne wale kitne
ai ġham-e-zīst tire chāhne vaale kitne
pī ga.e zahr se labrez piyāle kitne
ham siyah-baḳht sahī phir bhī hamīñ ne ai dost
kiye taḳhlīq añdheroñ se ujāle kitne
pāsbān-e-mah-o-ḳhurshīd hī ban kar tum ne
vaqt ke gosha-e-tārīk ujāle kitne
ai nigahbān-e-haram ham ko ḳhabar hai is kī
haiñ nihāñ terī nigāhoñ meñ shivāle kitne
shukriya aap kī īsā-nafasī kā lekin
paḌ ga.e aur mirī jaan ke laale kitne
aur kuchh roz abhī zulm ravā rakhnā thā
hausle tum ne abhī dil ke nikāle kitne
kitne to nān-e-javīñ ko bhī taras jaate haiñ
hazm kar jaate haiñ sone ke nivāle kitne
tum to karte rahe nazzāra-e-tūfāñ hī 'atīq'
ho ga.e shauq se tūfāñ ke havāle kitne
ai gham-e-zist tere chahne wale kitne
pi gae zahr se labrez piyale kitne
hum siyah-baKHt sahi phir bhi hamin ne ai dost
kiye taKHliq andheron se ujale kitne
pasban-e-mah-o-KHurshid hi ban kar tum ne
waqt ke gosha-e-tarik ujale kitne
ai nigahban-e-haram hum ko KHabar hai is ki
hain nihan teri nigahon mein shiwale kitne
shukriya aap ki isa-nafasi ka lekin
paD gae aur meri jaan ke lale kitne
aur kuchh roz abhi zulm rawa rakhna tha
hausle tum ne abhi dil ke nikale kitne
kitne to nan-e-jawin ko bhi taras jate hain
hazm kar jate hain sone ke niwale kitne
tum to karte rahe nazzara-e-tufan hi 'atiq'
ho gae shauq se tufan ke hawale kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.