ai ghazal teri nazar jab se utari humne
ai ġhazal terī nazar jab se utārī ham ne
rakh diyā naam tirā rāj-kumārī ham ne
is liye ġham ko banā rakkhā hai apnā sāthī
tujh ko de dī hai ḳhushī saarī kī saarī ham ne
dil ke jazbāt zamāne ko batāne ke liye
sher-goī kā safar rakkhā hai jaarī ham ne
dard-e-furqat meñ na so pāoge ab chain se tum
niiñd āñkhoñ se churā lī hai tumhārī ham ne
jo kahā tujh se akele meñ kahā ai zālim
aabrū kab tirī mahfil meñ utārī ham ne
naqd hai ishq kā saudā ye huā jab ma.alūm
is meñ rakkhī hī nahīñ koī udhārī ham ne
haiñ kahāñ jin pe adab kā thā kabhī dār-o-madār
ab to stage pe dekhe haiñ madārī ham ne
ye haqīqat hai tumheñ koī nahīñ pūchhegā
kyā karoge jo kabhī toḌ dī yaarī ham ne
un se bichhḌe haiñ to phir niiñd na aa.ī 'rahbar'
taare gin gin ke har ik raat guzārī ham ne
ai ghazal teri nazar jab se utari hum ne
rakh diya nam tera raj-kumari hum ne
is liye gham ko bana rakkha hai apna sathi
tujh ko de di hai KHushi sari ki sari hum ne
dil ke jazbaat zamane ko batane ke liye
sher-goi ka safar rakkha hai jari hum ne
dard-e-furqat mein na so paoge ab chain se tum
nind aankhon se chura li hai tumhaari hum ne
jo kaha tujh se akele mein kaha ai zalim
aabru kab teri mahfil mein utari hum ne
naqd hai ishq ka sauda ye hua jab malum
is mein rakkhi hi nahin koi udhaari hum ne
hain kahan jin pe adab ka tha kabhi dar-o-madar
ab to stage pe dekhe hain madari hum ne
ye haqiqat hai tumhein koi nahin puchhega
kya karoge jo kabhi toD di yari hum ne
un se bichhDe hain to phir nind na aai 'rahbar'
tare gin gin ke har ek raat guzari hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.