ai ham-nashin KHuda ke liye imtihan na kar
ai ham-nashīñ ḳhudā ke liye imtihāñ na kar
tū mere paas merī hikāyat bayāñ na kar
zinda hai rāh-e-yār meñ ai dil jo mar gayā
parvāna-vār jaan fidā kar fuġhāñ na kar
shādī ke baad de na ḳhudāyā kisī ko ġham
denā ho jis ko ġham to use shādmāñ na kar
miTTī meñ mil chukī haiñ bahut aisī sūrateñ
itnā ġhurūr-e-husn tū o naujavāñ na kar
'nāyāb' jī meñ soch kahāñ tak ye zindagī
auroñ ke nafā ke liye apnā ziyāñ na kar
ai ham-nashin KHuda ke liye imtihan na kar
tu mere pas meri hikayat bayan na kar
zinda hai rah-e-yar mein ai dil jo mar gaya
parwana-war jaan fida kar fughan na kar
shadi ke baad de na KHudaya kisi ko gham
dena ho jis ko gham to use shadman na kar
miTTi mein mil chuki hain bahut aisi suraten
itna ghurur-e-husn tu o naujawan na kar
'nayab' ji mein soch kahan tak ye zindagi
auron ke nafa ke liye apna ziyan na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.